Truecaller Apps Ke Bare Main Puri Jankari
Truecaller Apps Ke Bare Main Puri Jankari
Kya kbhi aap ko lagta hai ki yah pata chal jaye kr Anjan Number se call kon kar raha hai..? aap Isake liye ek Application hai jiska name hai Truecaller Apps jise bahut se log use karte hai leking is aap me name pata lagane ke aalava or bhi kai kaam aa sakti hai. Truecaller ke bareme main aap ko kuch jyada jankari deta hu
1. Truecaller Apps main Call ko block kiya ja sakta hai
Ye application kuch khas number se aane vali call block kar sakta hai aagar aap ko lagta hai ko koi khas number aap ko bar bar paresan karta hai to aap ke pahle kuch number add karke block kar dijiye usake bad wo number se aane vale call aap ko paresan nahi kar sakenge wo number block ho jayega
2. Truecaller main Internet connection na ho fir bhi aap jan sakte hai caller kon hai
ye Jaruri Nahi ki application ko har bar kam karne ke liye Internet Jaruri hai Ek bar aane vala number pahchan jane ke bar bina internet bhi aagar vo number se dusari bar call aaya to wo caller ke bare me jankare trucaller de dega.
3. Aap aapne mobile number ko spam caller se bachaye
Truecaller application aap ko spam number se bhi bachata hai Truecaller aap ko jankar deta hai ki jis number se call aa rahi hai use kisi ne spam mark kiya hai is tarah se aap ko pata chal jata hai ki call uthaye ya nahi uthaye..
4. Truecaller ka ek or bhi application hai Truedialer
Truecaller Apps ka ek Truedialer application bhi hai jise aap apna difolt dialer bhi bana sakte hai Truedialer application truecaller ke sath link ho jata hai isase aap ko alag se number bina hi search karne ya kisi ko block karne ki jarurat nahi padti
5. Truecaller se aap Search karke number le sakte hai
Truecaller me ek Search bar bhi hota hai aap jab application ko kholenge to us par Search ka option dikhai dega vaha par aap kisi ka nuber type karke bhi uska name or address kya hai vo jan payenge
6. Truecaller me aap apni profile bana sakte hai
Ji ha Truecaller par aap apni profile bana sakte hai or usme aapna photo bhi rakh sakte hai or apne hisab se customise kar sakte hai aap khud hu tay kar sakte hai ki anjan logo ko aapke bare me kya kya jankari milegi, aap Facebook se bhi jankari dal sakte hai, esake aalava aap aapni website or E-mail ID bhi dal sakte hai kud ke bare me likh sakte hai, is tarah se aap apni pahchan chhupa bhi sakte hai isake liye aap ko Satting ke andar Privacy Tab me jana hoga.
7. Most importent is aap apna Number Truecaller Se hata sakte hai.
Truecaller me aap ko apna number Database se hatane ka pura adhikar hai aap ko lagta ho ki mera Truecaller me mera name nahi aana chahiye to besak aap apna Name And number Database se hata sakte hai, isake liye aap ko Truecaller web portal http://www.truecaller.com/unlist par jana hoga usake bad contry code ke sath aap ka mobile number Type karo bad me aap ko Truecaller se Number kyu hatana hai Usaki vajah batani hogi ki aap is number ko Truecaller database se kyu hatana chahte hai usake bat Captcha Dalna hoga or Unlist butten par click karna hoga
Truecaller Apps Ke Bare Main Puri Jankari
Reviewed by Ram yadu
on
3:14:00 pm
Rating:
No comments: