ANDROID VERSION KYA HAI ?
ANDROID VERSION KYA HAI ?
Hallo Dosto Mai Ram Yadu Apko batana chahunga jaise Microsoft windows ki tarha Google apna koi mobile nahi banata, Google ka kaam sirf Android Platform ko sudharna hai aur usme time ke sath sath naye feature add karna hai. Aur Hardware companies jaise ki Xiaomi, Samsung, HTC ye log Android ko apne mobile par daal kar logo ko mobile sell karte hai.
Or Aage padhe:
Android ka lagbhag har saal naya version ata rehta hai. Problem ye hai ki puraane mobile par new version ki updates bohot kam companies deti hai. Isliye hume mobile kharidte time hamesha Latest Android version hi lena cahiye.
Agar aapko android ke sabhi version ke baare mai jaana hai to ye list dekhiye, is list me maine Android ke pehle version se lekar last version tak ke naam likhe hai.
- Cupcake (1.5)
- Donut (1.6)
- Eclair (2.0–2.1)
- Froyo (2.2–2.2.3)
- Gingerbread (2.3–2.3.7)
- Ice Cream Sandwich (4.0–4.0.4)
- Jelly Bean (4.1–4.3.1)
- KitKat (4.4–4.4.4, 4.4W–4.4W.2)
- Lollipop (5.0–5.1.1)
- Marshmallow (developer preview 3)
Aap dekh sakte hai ki kis tarha Android apne versions ko ABCD… Alphabets me lekar chal raha hai jo ki C se shuru hai aur M tak pohcha hai. Google waalo ne android ke sabhi versions ke naam me kisi na kisi Sweet ka hi use kiya hai.
Android ka jo Latest version chal raha hai wo hai Lollipop, lekin kuch dino baad android 6 Marshmallow release hone waala hai.
Android Updates Free hoti hai, lekin ye updates unhi mobiles ko support karti hai jinka Hardware updates ko sambhal sake. Ye updates OTA (Over the Air) hoti hai, yani ki Aap in updates ko bina service center lijaye Internet se download karke khud install kar sakte hai.
Agar aapko Android ki aane waali har update cahiye to aap Google Nexus kharid sakte hai, Google Nexus aise device hai jo Google baaki hardware companies ke saath milkar banati hai. Nexus ka ye fayada hai ki ye original Android version use karta hai. Isliye iski updates baaki sabhi smartphones se pehle mil jaati hai.
ANDROID VERSION KYA HAI ?
Reviewed by Ram yadu
on
3:15:00 pm
Rating:
No comments: